Ye kaisi kashmakash mein hum kho gaye hain
yun dhundne chale thae khudko tujhmein
ab dhund rahe hain khudko mujhmein
unka wajood bane thi humari farmaish
par wo toh hain aasman ka sitara jinke hum ban gaye ek choti si khwahish..
Ab bas bhi kar nasamajh dil
es raah mein nahi hai koi manzil
toot na ja es kadar
wo na ban sake tere humsafar
ab jaane bhi de unhe duur , tu nahi hai unka guroor
zindagi yun tham nai jayegi unke jaane se
aakhir har kisi ko jana hi hota hai kisi na kisi bahane se..-MD
No comments:
Post a Comment