Hum sone chale thae chain ki neend
kuch meethe sapno ki umeed se
ghabra ke uth gaye neend se
Jo beet gaya usse bhula na payun
ye dard saha na jaye, kahin mitt na jaun
khudko aaine mein dekh ab muskurana nahi aata
khafa ho chuke hain khud se es kadar
khudko sehna bhi ab saha nahi jaata
Wo kehte hain hum bewafa khudgarz thae
tod gaye jo dil unka aise bay garz thae
nasamajh thae wo jo meri wafa ko na jaan paye
har pal khud ko khoya unke junoon mein
wo khud kabhi na maan paye
Kaash wo mehsoos karte humari dhadkano ko
sau tukdo ki awaaz sunn lete
kabhi puchte ae dil chal baith mere sang kuch dard baant lete hain tumse
kambakkht mere alfaaz ban gaye dushman
wo ho gaye khafa humse
Koi toh samjhe, koi toh samjhe bas kehne ki baat hai
khudko samjhana jo seekh gaye usi mein har khushi ka raaz hai...-MD
No comments:
Post a Comment