Search This Blog

Pyaar mein sach!!

Uss pyaar mein sach tha, ya sach mein pyaar tha, humne nahi jaana
har kadam saath diya unka bas unko hi apna maana

Par kyun lagne laga tha adhura humara safar
uss pyaar mein sach tha, ya sach mein pyaar tha, hum ko hui na khabar


Wo mehsoos nahi karte thae mere dil ki dhadak
parkha unhone mere ishq ko har mod par
bataya humein sach aur khwab mein farak


Aakhir mein unhone kaha humara pyaar tha jhoota
hum ban gaye bay rehem ehsaas jisne unke dil ko loota

Khaer ab kaise samjahte
unki chah mein huye hum nisaar
toot ke bikhre na jane kitni baar
Kabhi gaur karte ek baar
jab kho chuke the khudko
fir kaise krte tumse wo sacha pyaar...-MD

No comments:

Post a Comment